Jan 26,2009
Dopahar k lagbhag 1:30 bje
30 sec ka sanaata
Rastra k gaurav k samne
Gantantra ka matlab btane ko kafi tha.
Aur hme thithak kar unki aankhon ki bechaini ko dekhna nayab.Dhimi barish ki bunde jha sanate ko bhang krti wahi unki aakho ki bechaini hme uksati. Aakhirkar mai us sanate ko punyviram unke Dil Ko Chu Dene wali sayari se lagaya or talion ki gargrahat hme sukun de gyi aur ek nyi kahani likhne ka srot . Usroj school bus me bhi bhadhaiya mili thi. mai ghar pahucha to ma papa aur ghar ke sbhi ki khushi chupae nhi chup pa rhi thi. raat gahrai aur uss roj bdi sukun ki nind aai. Ha nind aane se pehle mere jahn me ek sawal jarur bijli ki tarah kaudh gai ki "Agar yhi sawatantrata ka matlab hai to itni masakat kyu ki hogi hmare purwajo ne iske lie"
Subeh har roj ki tarah mai bus stand pe pahucha , School bus aai r mai kuch der me school me tha. Sbhi schoolmates katar badh khade hoo rhe the . Ha thodi paresaniya jarur aa rhi thi bash k khambho ke karan jo pandal banane ke kamm aae the prr thoda waqt lga r hmm sab katar badh khade ho chuke the. Prarthana khatm hua ur jab hmare pradhanyapak ki bari aai to unke basan m hamara jikr tha jo mujhe hmare chehre pe muskurahat laane ki wajah de gya tha.
Dost (saurya) hme bich me roka r hme uss samay ki harr baat btane ko bola. Mai hichkichaya per uski jid ke aage nirash ho gya.
26 jan ke hindi bhasan kelie mai bhut masakt kia tha. Wakai utna koi bacha to krne ki nhi sochta , Sayad bewajh bhi tha. Mujhe hrr samm subeh garm pani diya jata r goll mirch ,Jo hmare aawaj ko r saff krta. Mai taiyar ho chuka tha matlb pura bhasan raattt chuka tha ab bari thi to kewal opcharikat pura krne ki. Mujhe barabr yaad hai ki mai apna bhasan sunane hindi teacher k pass jaa rha tha tab mujhe raste m hi sanskrit ke teacher dikh gae the ur mai unhe hi apna bhasan suna baitha tha , Jo sayat hindi ke teacher se unka adhikar chin jane jaisa tha. Yhi baat unhe khali thi r wo hmare har mumkin kosis ko nakam krne ki aathah kosis krti. Matib ki mai jab bhi apne name ko register krwata hindi speech ke lie wo name jarur se replace krwa deti. Prr mai bhi sayad bhut hathi tha tbhi to mai ant tak apni ummid ko ser aakho p baitha rakha tha. 24 Jan din saniwar ko mai apna nam programe list m dekh krr santust ho lena chahta tha prr ek barr firr hme pta chala tha ki abi mam ki kosis jari hai.mai tab bina deri kie pradhanyapak ke pass jaa pahucha tha r unhe sari baat batai thi ur unhe hamari bhasan bhi pasand aai thi. mai khus ho rha tha thoda r darr bhi rha tha. Agle din 25 jan jab sari programes last barr off the stage perform ki jaa rhi thi tab maine gaur kia tha ki uss waqt bhi hindi programme (no 8 of d list) pe kisi r ko pukara gya tha lekin uski namaujudgi hme ek ur ummid de gai, 26 jan mai 8 no ka bdi besabri se intejar krr rha tha. Prr aasa ko nirasa me tabdil hone me kha waqt lgti hai. Khair jo bhi ho mai 22 no pe apna bhasan de paya tha. Jo hme vedic chetna shivir ka ticket de gya.
Ha ek shek maine apne competitor ke khawaise ko takh pe rakh ke jarur likha tha.
"Hamare sohrato ke charche hai.
Ya khauf ka najara hai.
Bus itna samajh lijie.
Jo hamara hai wo hamara hai."
Dost (saurya) sayad kuch khas tha jo kehna chahta tha. r mai bdi bechaini se sunna.
Dost (saurya) : Ye wahi vedic sivir tha jisme tmm pehli barr gae the ur mai bhi pehli barr. Wo waqt kafi khusnuma sa lagta hai jab hmlog camp me jane k lie school me ekatha hue the ur 2 no bus me apna apna shaman rakh rahe the. Tabhi narkatiyaganj dav ki bus aai thi. Jisme se uss school k hmare kuch competitor apne hunar ke sath aae the. ur.....................
Nice line
ReplyDeletethanks lotttsssssss bhai........ :-)
Delete